hargiz na mire mahram-e-hamrāz hue tum
ā.īne meñ apne hī nazar-bāz hue tum
shikva na mujhe ġhair se ne yaar kī ḳhū se
dushman mire ai tāla-e-nā-sāz hue tum
ḳhamyāza-kashān-e-mai ulfat kī ban aa.ī
mai pī ke jo kal mast-e-sar-andāz hue tum
maiñ tum ko na kahtā thā ki ā.īna na dekho
āḳhir hadaf-e-chashm-e-fusūñ-sāz hue tum
dukh pahuñche jo kuchh tum ko tumhārī ye sazā hai
kyuuñ us ke 'havas' āshiq-e-jāñ-bāz hue tum