Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

usne mai pi ke sar-e-bazm jo saghar ulTa

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
us ne mai pī ke sar-e-bazm jo sāġhar ulTā
varaq-e-anjuman-e-dahr sarāsar ulTā
dekhne vaale ko duniyā hai sarāpā tasvīr
go hai ā.īne meñ aks ruḳh-e-dilbar ulTā
kar diyā aa ke chaman ko tah-o-bālā kis ne
koī sīdhā hai yahāñ koī gul-e-tar ulTā
naaz se mujh ko sar-e-bazm jo saaqī ne diyā
haath tharrā.e kuchh is tarah ki sāġhar ulTā
ai ḳhudā kyā yuuñ hī aatī hai kisī dost kī yaad
aa gayā muñh ko kaleja dil-e-muztar ulTā
dād-ḳhvāhān-e-mohabbat kā ye amboh-e-kasīr
dil mirā dekh ke hañgāma-e-mahshar ulTā
jis pe ki baiTh ke vaa.iz ne mazammat mai kī
majlis-e-vāz meñ rindoñ ne vo mimbar ulTā
yā zamāne meñ mohabbat ke fasāne haiñ ġhalat
yā mirā naqsh-e-vafā hai mire dil par ulTā
tā-kujā ai dil-e-bīmār ye rāhat-talabī
umr bhar jab se bichhā phir na ye bistar ulTā
uTh ga.ī aaj zamāne se bisāt-e-ulfat
bistar-e-marg mirā us ne ye kah kar ulTā
ashk-bārī-e-shab-e-hijr kā kyā haal likhūñ
dīda-e-tar ne 'nazar' ek samundar ulTā
Top Urdushayar.com