Mirza Mohammad Taqi Hawas

kya din the jab chhup chhup kar tum pas hamare aate the

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836
kyā din the jab chhup chhup kar tum paas hamāre aate the
kāñpte the badnāmī ke Dar se aañsū pī pī jaate the
haa.e javānī kyā mausam thā ab vo din yaad aate haiñ
rūThte the ham har-dam un pe aur vo aa ke manāte the
haa.e ġhazab hai mujh vahshī ko us mausam meñ qaid kiyā
sun jab shor-e-fasl-e-bahārāñ murġh-e-qafas ghabrāte the
zikr kiyā maiñ aap kā kis se kis ke aage naam liyā
dushman the vo log mire jo aap ke ta.iiñ bahkāte the
haa.e vo pahle chaah kā aalam kis se maiñ iz.hār karūñ
maiñ to hijāb se aap ḳhajil thā vo mujh se sharmāte the
us se 'havas' milnā mushkil thā par vo ham se duur na the
un kī hī tasvīr se har-dam apnā jī bahlāte the
Top Urdushayar.com