Mirza Mohammad Taqi Hawas

jawani yaad hum ko apni phir be-iKHtiyar aai

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836
javānī yaad ham ko apnī phir be-iḳhtiyār aa.ī
huā dīvānoñ meñ jab ġhul bahār aa.ī bahār aa.ī
huā thā marg se ġhāfil maiñ kis din josh-e-vahshat meñ
sabā kyuuñ le ke mere sāmne musht-e-ġhubār aa.ī
dikhā.e ranj piirī ke ajal tere taġhāful ne
tujhe aanā thā pahle aah tū anjām kaar aa.ī
hamāre tausan-e-umr-e-ravāñ ke tez karne ko
shamīm-e-zulf dosh-e-bād-e-sarsar par savār aa.ī
na paayā vaqt ai zāhid koī maiñ ne ibādat kā
shab-e-hijrāñ huī āḳhir to sub.h-e-intizār aa.ī
na kuchh ḳhatra ḳhizāñ kā hai na ehsān-e-bahār us par
adam se apnī shāḳh-e-ārzū be-barg-o-bār aa.ī
hamārī dekhiyo ġhaflat na samjhe vaa.e nādānī
hameñ do din ke bahlāne ko umr-e-be-madār aa.ī
jo nañg-e-ishq haiñ vo bul-havas fariyād karte haiñ
lab-e-zaḳhm-e-'havas' se kab sadā-e-zīnhār aa.ī
Top Urdushayar.com