Mirza Mohammad Taqi Hawas

na paya khoj barson naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe

Mirza Mohammad Taqi Hawas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1766-1836
na paayā khoj barsoñ naqsh-e-pā-e-raftagāñ DhūñDhe
na ho mumkin patā jin kā unheñ koī kahāñ DhūñDhe
talāsh is tarah bazm-e-aish meñ hai be-nishānoñ kī
koī kapḌe meñ jaise zaḳhm-e-sozan kā nishāñ DhūñDhe
ham us ke zikr hī se ḳhush kiyā karte haiñ dil apnā
sahārā jaise tinke kā ġharīq-e-nīm-jāñ DhūñDhe
kidhar ko ruuTh kar jaatā rahā ahd-e-shabāb apnā
na paayā is musāfir ko hazāroñ kārvāñ DhūñDhe
uThānā ho subuk aadam pe jab bār-e-amānat kā
kahāñ se phir koī is ke liye bār-e-girāñ DhūñDhe
girah sāñsoñ meñ Daalī hai 'havas' ifrāt-e-girya ne
na āh-e-nā-tavāñ aane ko lab tak nardbāñ DhūñDhe
Top Urdushayar.com