Amanat Lakhnavi

ruh ko rah-e-adam mein mera tan yaad aaya

Amanat Lakhnavi

1815-1858

ruuh ko rāh-e-adam meñ mirā tan yaad aayā

dasht-e-ġhurbat meñ musāfir ko vatan yaad aayā

chuTkiyāñ dil meñ mire lene lagā nāḳhun-e-ishq

gul-badan dekh ke us gul badan yaad aayā

vahm vahm meñ apnī huī auqāt basar

kamar-e-yār ko bhūle to dahan yaad aayā

barg-e-gul dekh ke āñkhoñ meñ tire phir ga.e lab

ġhuncha chaTkā to mujhe lutf-e-suḳhan yaad aayā

dar-ba-dar phir ke dilā ghar hameñ qadr huī

rāh-e-ġhurbat meñ jo bhūle to vatan yaad aayā

aah kyuuñ kheñch ke āñkhoñ meñ bhar aa.e aañsū

kyā qafas meñ tujhe ai murġh-e-chaman yaad aayā

phir 'amānat' mirā dil bhuul gayā aish o tarab

phir mujhe rauza-e-sultān-e-zaman yaad aayā

Top Urdushayar.com