Amanat Lakhnavi

bani-e-jaur-o-jafa hain sitam-ijad hain sab

Amanat Lakhnavi

1815-1858
bāni-e-jaur-o-jafā haiñ sitam-ījād haiñ sab
rāhat-e-jāñ koī dilbar nahīñ jallād haiñ sab
kabhī tuubā tire qāmat se na hogā baalā
bāteñ kahne kī ye ai ġhairat-e-shamshād haiñ sab
mizha o abrū o chashm o nigah o ġhamza o naaz
haq jo pūchho to mirī jaan ke jallād haiñ sab
sarv ko dekh ke kahtā hai dil-e-basta-e-zulf
ham giraftār haiñ is baaġh meñ āzād haiñ sab
kuchh hai behūda o nāqis to 'amānat' kā kalām
yuuñ to kahne ko fan-e-sher meñ ustād haiñ sab
Top Urdushayar.com