Amanat Lakhnavi

zamzama kis ki zaban par ba-dil-e-shad aaya

Amanat Lakhnavi

1815-1858
zamzama kis kī zabāñ par ba-dil-e-shād aayā
muñh na kholā thā ki par bāñdhne sayyād aayā
qad jo buuTā sā tirā sarv-e-ravāñ yaad aayā
ġhash pe ġhash mujh ko chaman meñ tah-e-shamshād aayā
le uḌī dil ko sū-e-dasht havā-e-vahshat
phir ye jhoñkā mujhe kar dene ko barbād aayā
kis qadar dil se farāmosh kiyā āshiq ko
na kabhī aap ko bhūle se bhī maiñ yaad aayā
dil huā sarv-e-gulistāñ ke nazāre se nihāl
shajar-e-qāmat-e-dildār mujhe yaad aayā
ho ga.ī qat.a asīrī meñ umīd-e-parvāz
uḌ ga.e hosh jo par kāTne sayyād aayā
ho gayā hasrat-e-parvāz meñ dil sau TukḌe
ham ne dekhā jo qafas ko to falak yaad aayā
Top Urdushayar.com