Amanat Lakhnavi

dikhlae KHuda us sitam-ijad ki surat

Amanat Lakhnavi

1815-1858
dikhlā.e ḳhudā us sitam-ījād kī sūrat
istāda haiñ ham baaġh meñ shamshād kī sūrat
yaad aatī hai bulbul pe jo bedād kī sūrat
ro detā huuñ maiñ dekh ke sayyād kī sūrat
āzād tire ai gul-e-tar bāġh-e-jahāñ meñ
be-jāh-o-hasham shaad haiñ shamshād kī sūrat
jo gesū-e-jānāñ meñ phañsā phir na chhuTā vo
haiñ qaid meñ phir ḳhuub hai mī.ād kī sūrat
khīñcheñge mire ā.īna-ruḳhsār kī tasvīr
dekhe to koī mānī-o-bahzād kī sūrat
gaalī ke sivā haath bhī chaltā hai ab un kā
har roz na.ī hotī hai bedād kī sūrat
kis tarah 'amānat' na rahūñ ġham se maiñ dil-gīr
āñkhoñ meñ phirā kartī hai ustād kī sūrat
Top Urdushayar.com