Amanat Lakhnavi

lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin

Amanat Lakhnavi

1815-1858
lutf ab ziist kā ai gardish-e-ayyām nahīñ
mai nahīñ yaar nahīñ shīsha nahīñ jaam nahīñ
kab mujhe yaad ruḳh o zulf-e-siyah-fām nahīñ
koī shaġhl is ke sivā sub.h se tā shaam nahīñ
har suḳhan par mujhe detā hai vo bad-ḳhū dushnām
kaun sī baat mirī qābil-e-in.ām nahīñ
nek-nāmī meñ dilā firqa-e-ushshāq haiñ ishq
hai vo badnām mohabbat meñ jo badnām nahīñ
chehra-e-yār ke saude meñ kahā kartā huuñ
ruḳh hai ye sub.h nahīñ zulf hai ye shaam nahīñ
bosa āñkhoñ kā jo māñgā to vo hañs kar bole
dekh lo duur se khāne ke ye bādām nahīñ
halqa-e-zulf-e-butāñ meñ hai bharī nik.hat-e-gul
ai dil is laam meñ bū-e-gul-e-islām nahīñ
ibtidā ishq kī hai dekh 'amānat' hushyār
ye vo āġhāz hai jis kā koī anjām nahīñ
Top Urdushayar.com