Amanat Lakhnavi

hain jalwa-e-tan se dar-o-diwar basanti

Amanat Lakhnavi

1815-1858
haiñ jalva-e-tan se dar-o-dīvār basantī
poshāk jo pahne hai mirā yaar basantī
kyā fasl-e-bahārī ne shagūfe haiñ khilā.e
ma.ashūq haiñ phirte sar-e-bāzār basantī
geñdā hai khilā baaġh meñ maidān meñ sarsoñ
sahrā vo basantī hai ye gulzār basantī
us rashk-e-masīhā kā jo ho jaa.e ishāra
āñkhoñ se bane nargis-e-bīmār basantī
geñdoñ ke daraḳhtoñ meñ numāyāñ nahīñ geñde
har shāḳh ke sar par hai ye dastār basantī
muñh zard dupaTTe ke na āñchal se chhupāo
ho jaa.e na rañg-e-gul-e-ruḳhsār basantī
khiltī hai mire shoḳh pe har rañg kī poshāk
ūdī, agarī, champa.ī, gulnār, basantī
hai lutf hasīnoñ kī do-rañgī kā 'amānat'
do chaar gulābī hoñ to do chaar basantī
Top Urdushayar.com