bhūlā huuñ maiñ aalam ko sarshār ise kahte haiñ
mastī meñ nahīñ ġhāfil hushyār ise kahte haiñ
gesū ise kahte haiñ ruḳhsār ise kahte haiñ
sumbul ise kahte haiñ gulzār ise kahte haiñ
ik rishta-e-ulfat meñ gardan hai hazāroñ kī
tasbīh ise kahte haiñ zunnār ise kahte haiñ
mahshar kā kiyā va.ada yaañ shakl na dikhlā.ī
iqrār ise kahte haiñ inkār ise kahte haiñ
Takrātā huuñ sar apnā kyā kyā dar-e-jānāñ se
jumbish bhī nahīñ kartī dīvār ise kahte haiñ
dil ne shab-e-furqat meñ kyā saath diyā merā
mūnis ise kahte haiñ ġham-ḳhvār ise kahte haiñ
ḳhāmosh 'amānat' hai kuchh uf bhī nahīñ kartā
kyā kyā nahīñ ai pyāre aġhyār ise kahte haiñ