āġhosh meñ jo jalvagar ik nāznīñ huā
añgushtarī banā mirā tan vo nagīñ huā
raunaq-fazā lahad pe jo vo mah-jabīñ huā
gumbad hamārī qabr kā charḳh-e-barīñ huā
kanda jahāñ meñ koī na aisā nagīñ huā
jaisā ki terā naam mire dil-nashīñ huā
raushan huā ye mujh pe ki fānūs meñ hai sham.a
haath us kā jalvagar jo tah-e-āstīñ huā
rakhtā hai ḳhaak par vo qadam jab ki naaz se
kahtā hai āsmān na kyuuñ maiñ zamīñ huā
raushan shabāb meñ jo huī sham-e-rū-e-yār
dūd-e-charāġh husn-e-ḳhat-e-ambarīñ huā
yā rab girā adū pe 'amānat' ke tū vo barq
do TukḌe jis se shahpar-e-rūhul-amīñ huā