Amanat Lakhnavi

subh-e-visal-e-zist ka naqsha badal gaya

Amanat Lakhnavi

1815-1858
sub.h-e-visāl-e-zīst kā naqsha badal gayā
murġh-e-sahar ke bolte hī dam nikal gayā
dāman pe loTne lage gir gir ke tifl-e-ashk
ro.e firāq meñ to dil apnā bahal gayā
dushman bhī gar mare to ḳhushī kā nahīñ mahal
koī jahāñ se aaj gayā koī kal gayā
sūrat rahī na shakl na ġhamza na vo adā
kyā dekheñ ab tujhe ki vo naqshā badal gayā
qāsid ko us ne qatl kiyā purze kar ke ḳhat
muñh se jo us ke naam hamārā nikal gayā
mil jaao gar to phir vahī bāham hoñ sohbateñ
kuchh tum badal ga.e ho na kuchh maiñ badal gayā
mujh diljale kī nabz jo dekhī tabīb ne
kahne lagā ki aah mirā haath jal gayā
jiitā rahā uThāne ko sadme firāq ke
dam vasl meñ tirā na 'amānat' nikal gayā
Top Urdushayar.com