Amanat Lakhnavi

rawan dawan nahin yan ashk chashm-e-tar ki tarah

Amanat Lakhnavi

1815-1858
ravāñ davāñ nahīñ yaañ ashk chashm-e-tar kī tarah
girah meñ rakhte haiñ ham aabrū guhar kī tarah
sunī sifat kisī ḳhush-chashm kī jo mardum se
ḳhayāl dauḌ gayā aañkh par nazar kī tarah
chhupī na ḳhalq-e-ḳhudā se haqīqat-e-ḳhat-e-shauq
uḌā jahāñ meñ kabūtar mirā ḳhabar kī tarah
sivā.e yaar na dekhā kuchh aur aalam meñ
samā gayā vo mirī aañkh meñ nazar kī tarah
adam kī raah meñ khaTkā rahā jahannam kā
safar ne dil ko jalāyā mire saqar kī tarah
khule jo sab to bañdhā taar mīThī bātoñ kā
shakar girah meñ vo rakhte haiñ neshkar kī tarah
vo andalīb huuñ shahpar jo merā mil jaa.e
chaḌhā.eñ sar pe salātīñ humā ke par kī tarah
zakāt de zar-e-gul kī bahār meñ gulchīñ
chaman meñ phuul luTā ashrafī ke zar kī tarah
girī hai chhuT ke jo zaanū pe shaam ko afshāñ
sitāre yaar ke dāman meñ haiñ sahar kī tarah
mushā.ire kā 'amānat' hai kis ko hijr meñ hosh
kahāñ ke sher kahāñ kī ġhazal kidhar kī tarah
Top Urdushayar.com