gir paḌe daañt hue mū-e-sar ai yaar safed
kyuuñ na ho ḳhauf-e-ajal se ye siyahkār safed
do qadam fart-e-nazākat se nahīñ chal saktā
rañg ho jaatā hai us kā dam-e-raftār safed
us masīhā kī jo āñkheñ huiiñ gulzār meñ surḳh
ho ga.ī ḳhauf se bas nargis-e-bīmār safed
gul-e-nasrīñ ko nahīñ josh chaman meñ bulbul
hai nazākat ke sabab chehra-e-gulzār safed
ghar mire shab ko jo vo rashk-e-qamar aa niklā
ho ga.e partav-e-ruḳh se dar o dīvār safed
lab o dandāñ ke tasavvur meñ jo royā maiñ kabhī
ashk do-chār bahe surḳh to do-chār safed
huī sarsabz jo sohbat meñ 'amānat' kī ġhazal
rañg dushman kā huā rashk se ik baar safed