na puure hue bā-ḳhudā bechte haiñ
yuuñ ḳhvāb-o-ḳhayāloñ ko jā bechte haiñ
nahīñ koī muḳhlis zamāne meñ varna
atā bechte the ridā bechte haiñ
tabīboñ kī saarī hai apnī kahānī
vafā bechte haiñ shifā bechte haiñ
chalo tum bhī ham se ye va.ada karo ab
qasam khā ke saarī anā bechte haiñ
ye ahl-e-zamāna kahāñ jānte haiñ
diloñ meñ sulagtī sadā bechte haiñ
hue haiñ vo ham se parā.e ki aise
lagā ke girā phir qabā bechte haiñ
sitam pe sitam vo kiye jā rahe haiñ
lagā ke vo zaḳhm ab davā bechte haiñ
nahīñ hotī un se koī baat bhī to
ye āñkhoñ ke andhe duā bechte haiñ
bhare māl-o-daulat se kamre haiñ ḳhālī
havas ke pujārī kalā bechte haiñ
mukammal ho terā funūn-e-safar ye
haañ sāġhar se kah do duā bechte haiñ
jo dekhā añdherā to rāhoñ meñ 'mariyam'
amāvas kī shab meñ ziyā bechte haiñ