ḳhvāb jaisī hī koī apnī kahānī hotī
yuuñ to barbād na ye apnī javānī hotī
tere aane se chahak uThtā ye vīrāna-e-dil
phir se ābād vahī ravish purānī hotī
rābta rakhā na diyā jā-e-sukūnat kā pata
is tarah bhī hai koī naql-e-makānī hotī
ab mire paas nahīñ koī bhī rone kā javāz
hijr mausam kī sahī ashk fishānī hotī
yaad karne kā tujhe koī bahāna bhī nahīñ
koī chhallā koī chauḌī hī nishānī hotī
ab tire hijr se mānūs tabī.at hai mirī
pahle vaalī sī nahīñ jaañ pe girānī hotī
naḳhl-e-jāñ pe jo barastā terā bādal 'mariyam'
kuchh to kam badan kī ye tishna-dahānī hotī