Maryam Naz

dast-e-daman dua rahe na rahe

Maryam Naz

1988
dast-e-dāman duā rahe na rahe
ham chale ab vafā rahe na rahe
maiñ fanā kī Dagar pe huuñ yaaro
ab kisī kī sazā rahe na rahe
aa.ine tum to mere saath raho
mujh meñ chāhe adā rahe na rahe
jalnā qismat meñ hai to jalnā hai
chhat pe koī ghaTā rahe na rahe
paañv nañge haiñ har tamannā ke
sar pe ab ke ridā rahe na rahe
ho ga.ī jo ḳhatā to ab ke baras
mujh meñ koī ḳhatā rahe na rahe
jal ga.ī baaġh kī umīdeñ bhī
ab guloñ meñ fazā rahe na rahe
mere zaḳhmoñ ke dast-e-dāman meñ
dard kī ab davā rahe na rahe
bujh ga.e diip sab vafāoñ ke
sahn meñ ab havā rahe na rahe
farq paḌtā hai kyā bhalā mujh ko
us ke dil meñ daġhā rahe na rahe
alamiye ḳhuub ham ne jhele haiñ
Dar nahīñ alamiya rahe na rahe
girya-o-ġham ke ā.īne meñ haiñ
aks meñ ab azā rahe na rahe
mere pahlū se aag hai lipTī
sar pe bād-e-sabā rahe na rahe
lab khule haiñ to kuchh suno pal-bhar
kyuuñ ke phir ye gilā rahe na rahe
ab na lauTeñge phir kabhī 'mariyam'
mere pīchhe sadā rahe na rahe
Top Urdushayar.com