hāsil-e-fan hai bas kalām kī daad
varna miltī hai sab ko naam kī daad
kis qadar be-ruḳhī se miltā hai
dushman-e-jāñ tire salām kī daad
jurm ġhurbat pe jā ke lagtā hai
vaise bantī hai is nizām kī daad
ḳhūbsūrat hai kā.enāt bahut
ḳhāliq-e-husn-e-intizām kī daad
ishq miltā hai hijr ke hī evaz
ai dukāñ-dār tere daam kī daad
mai-kade se nikalte miltī hai
hosh vāloñ ko mere jaam kī daad
aap ne naqs to nikālā nahīñ
aap kī daad kab hai kaam kī daad
sahtī rahtī huuñ vahshateñ 'mariyam'
sub.h miltī hai mujh ko shaam kī daad