dekhe haiñ manāzir jo idhar shaam se pahle
din Dhalte badaltī hai nazar shaam se pahle
utre haiñ yahāñ dasht meñ jo qāfile aksar
kitne haiñ chale paar ḳhizar shaam se pahle
tābinda bahāroñ ke na.e rañg liye to
merī bhī kabhī chhat pe utar shaam se pahle
is dard-o-sitam kā nahīñ ġham mujh ko sanam tū
hai aas ho ye ḳhatm safar shaam se pahle
iflās se baḌh kar nahīñ hotā koī bhī dukh
is ġham meñ gire TuuT ki dar shaam se pahle
jo chhoḌ ke jaate haiñ yahāñ beach bhañvar meñ
khulte haiñ nahīñ un pe ye dar shaam se pahle
bhaTke huoñ kī rāheñ to aksar haiñ huī ġham
kab milte unheñ apne hī ghar shaam se pahle
TuuTī huī ab shāḳhoñ ko ye dekh ki 'mariyam'
haañ phuuT ke rote haiñ shajar shaam se pahle