parī uḌ jā.egī aur rājdhānī ḳhatm hogī
ye āñkheñ band hote hī kahānī ḳhatm hogī
kisī sandūq meñ dīmak-zada ḳhat dekhte hī
kahā dil ne ab us kī har nishānī ḳhatm hogī
use ye shauq gahrī dhund lipTe har shajar se
mujhe ye fikr kaise bad-gumānī ḳhatm hogī
ḳhabar kab thī tilism aisā hai is bhīgī nazar meñ
yakāyak jism se ḳhuuñ kī ravānī ḳhatm hogī
zamīñ par āsmāñ hote parinde jaan leñge
sitāroñ par bhī āḳhir hukmarānī ḳhatm hogī
hamārī raah meñ baiThegī kab tak terī duniyā
kabhī to is zuleḳhā kī javānī ḳhatm hogī
ḳhudā jaane kahāñ TuuTe masāfat kā tasalsul
par itnā jānte haiñ be-makānī ḳhatm hogī