lafz kī qaid se rihā ho jā
aa mirī aañkh se adā ho jā
pheñk de ḳhushk phuul yādoñ ke
zid na kar tū bhī be-vafā ho jā
ḳhushk peḌoñ ko kaTnā paḌtā hai
apne hī ashk pī harā ho jā
chheḌ is habs meñ mahaktī ġhazal
aur dar kholtī havā ho jā
sañg barsā rahe haiñ shahr ke log
tū bhī yuuñ haath uThā duā ho jā
ḳhud ko pahchān idhar udhar na bhaTak
apne markaz pe dā.era ho jā
aur phir ho gayā maiñ ā.īna-rū
us ne ik baar hī kahā ho jā
kahīñ andar se aaj bhī 'tauqīr'
ik sadā aatī hai mirā ho jā