badan meñ ruuh kī tarsīl karne vaale log
badal ga.e mujhe tabdīl karne vaale log
abad talak ke manāzir sameT lete haiñ
zarā sī aañkh ko zambīl karne vaale log
tumhī batāo tumheñ chhoḌ kar kidhar jaa.eñ
tumhārī baat kī ta.amīl karne vaale log
kise batā.eñ ki shāḳh-e-salīb kaun sī hai
ye paat paat ko injīl karne vaale log
zamīñ pe aa.e the kār-e-payambarī ke liye
zamīñ supurd-e-azāzīl karne vaale log
añdherī raat hai ḳheme meñ ik diyā bhī nahīñ
kahāñ haiñ sabr ko qindīl karne vaale log
ubuur kar ke ise ho ga.e kahāñ ābād
hayāt rahguzar-e-nīl karne vaale log
ham apne ishq se duniyā badalnā chāhte haiñ
magar ye ishq kī tazlīl karne vaale log