sūrat-e-ishq badaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
ġham kī hiddat se pighaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
ab zamāne meñ mohabbat hai tamāshe kī tarah
is tamāshe se bahaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
in sulagtī huī sāñsoñ ko nahīñ dekhte log
aur samajhte haiñ ki jaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
apnā nuqsān barābar kā huā āñdhī meñ
ab kisī shāḳh pe phaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
ai samundar tirī phailī huī bāñhoñ kī qasam
apnī maujoñ se nikaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
Dagmagāte haiñ qadam Doltī hai vaqt kī saañs
tār-e-hastī pe sambhaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
ab vo ġhālib hai na vo ahl-e-karam haiñ 'tauqīr'
ishq meñ bhes badaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī