mauj-e-ḳhayāl meñ na kisī jal-parī meñ aa.e
dariyā ke saare rañg mirī tishnagī meñ aa.e
phir ek roz aan milā abr-e-ham-mizāj
miTTī numū-e-pazīr huī tāzgī meñ aa.e
dāman bachā rahe the ki chehra bhī jal gayā
kis aag se guzar ke tirī raushnī meñ aa.e
ye maiñ huuñ mere ḳhvāb ye shamshīr-e-be-niyām
ab terā iḳhtiyār hai jo tere jī meñ aa.e
ik baar is jahān se mil lenā chāhiye
aisā na ho ki phir ye faqat ḳhvāb hī meñ aa.e
āñkhoñ meñ vo lapak hai na siine meñ vo alaav
is baar us se kahnā zarā sādgī meñ aa.e
tanhā udaas dekh rahā thā maiñ chāñd ko
ye phuul bahte bahte kahāñ se nadī meñ aa.e
thak-hār kar girā thā ki āñkhoñ meñ phir ga.e
'tauqīr' vo maqām jo āvārgī meñ aa.e