koī tāsīr to hai is kī navā meñ aisī
raushnī pahle na thī dil kī fazā meñ aisī
aur phir us ke ta.āqub meñ huī umr tamām
ek tasvīr uḌī tez havā meñ aisī
jaise vīrān havelī meñ hoñ ḳhāmosh charāġh
ab guzartī haiñ tire shahr meñ shāmeñ aisī
aañkh masrūf hai zambīl-e-hunar bharne meñ
kis ne rakkhī hai kashish arz o samā meñ aisī
ulTī jānib ko safar karne lagā har manzar
sansanī phail ga.ī rāh-e-fanā meñ aisī
kahkashā.eñ bhī tahayyur se nikal saktī nahīñ
chhoḌ aayā huuñ ka.ī nazreñ ḳhalā meñ aisī
yahīñ aanā hai bhaTaktī huī āvāzoñ ko
ya.anī kuchh baat to hai koh-e-nidā meñ aisī