ruuTh kar aañkh ke andar se nikal jaate haiñ
ashk bachchoñ kī tarah ghar se nikal jaate haiñ
sabz peḌoñ ko pata tak nahīñ chaltā shāyad
zard patte bhare manzar se nikal jaate haiñ
is guzargāh-e-mohabbat meñ kahāñ aa gayā maiñ
dost chup-chāp barābar se nikal jaate haiñ
tum tarāshe hue but ho kisī mehrāb ke biich
ham zavā.ed haiñ jo patthar se nikal jaate haiñ
sāhilī ret meñ kyā aisī kashish hai ki guhar
siip meñ band samundar se nikal jaate haiñ
maiñ tire hijr se niklūñgā to mar jā.ūñgā
haa.e vo log jo mehvar se nikal jaate haiñ
āḳhirash sub.h-e-qayāmat kī azaañ aatī hai
aur ham shaam ke lashkar se nikal jaate haiñ