kahīñ shu.ūr meñ sadiyoñ kā ḳhauf zinda thā
maiñ shāḳh-e-asr pe baiThā huā parinda thā
badan meñ dil thā muallaq ḳhalā meñ nazreñ thiiñ
magar kahīñ kahīñ siine meñ dard zinda thā
phir ek raat mujhī par jhapaT paḌā mirā zabt
jise maiñ paal rahā thā koī darinda thā
ḳhushī ne haath baḌhāyā thā merī jānib bhī
magar vahāñ jahāñ har shaḳhs ġham-kuninda thā
nabard-e-ishq meñ kyā kyā jigar kiyā 'tauqīr'
havā kā lams bhī jab intiqām-e-hiñda thā