ḳhaak hotī huī hastī se uThā
ishq kā bojh bhī miTTī se uThā
hijr thā bār-e-amānat kī tarah
so ye ġham āḳhirī hichkī se uThā
lau tire ba.ad baḌhī ashkoñ kī
sho.ala-e-ishq bhī paanī se uThā
dil ne ābād kiyā ishq-ābād
ḳhaak ho kar usī bastī se uThā
dil usī dard kī zulfoñ kā asiir
haa.e vo dard jo paslī se uThā
yā mujhe qaid-e-anāsir se nikāl
yā mirī ḳhaak ko pastī se uThā
āḳhirī vaqt meñ har rañj kā bojh
ḳham-shuda riiḌh kī haDDī se uThā
is se pahle ki mirā naam aa jaa.e
mujhe is Doltī kashtī se uThā