yaad aur ġham kī rivāyāt se niklā huā hai
dil jo is vaqt mire haat se niklā huā hai
muḌ ke dekhe bhī to patthar nahīñ hotā koī
jaane kyā shahr-e-tilismāt se niklā huā hai
raat ye kaun sā mehmān mire ghar aayā
saarā ghar halqa-e-āfāt se niklā huā hai
hujra-e-hijr meñ baiThā hai jo majzūb-sifat
arsa-e-shor-e-munājāt se niklā huā hai
lashkarī gaañv pe shab-ḳhūn nahīñ māreñge
hausla gasht pe kal raat se niklā huā hai
mānte kab haiñ bhalā ūñche makānoñ vaale
shahr kā shahr mazāfāt se niklā huā hai
zar kā banda ho ki mahrūmī kā maarā huā shaḳhs
jis ko dekho vahī auqāt se niklā huā hai