Sadiq

bistar bichha ke raat wo kamre mein so gaya

Sadiq

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1943
bistar bichhā ke raat vo kamre meñ so gayā
sabze pe mausamoñ kā lahū ḳhushk ho gayā
gum-nām din kī pichhlī qatāroñ kā fāsla
āvāz kī hadoñ se bahut duur ho gayā
baa.eñ taraf ke rāste sāñsoñ meñ baT ga.e
agle qadam kī chaap pe vo ḳhuun ro gayā
sūraj kā zulm sar ko jhulastā rahā magar
din dhuup ke athāh samundar ko Dho gayā
saḌkoñ kī bhiiḌ khā ga.ī pahchān fard kī
sochoñ kā shor shakl kī raunaq ko ro gayā
har ghar ke rāste meñ nadī aa khaḌī huī
har rāsta na jaane kahāñ jā ke kho gayā
in pāniyoñ ke bhed koī jāntā nahīñ
vāpas kabhī na lauT sakā in meñ jo gayā
Top Urdushayar.com