garche sahl nahīñ lekin tere kahne par lā.ūñgā
kaaT ke apne hāthoñ meñ ab apnā hī sar lā.ūñgā
jis meñ hoñ tayyār khaḌī har samt sarāboñ kī fasleñ
apne kandhoñ par vo registān uThā kar lā.ūñgā
qaus-e-quzah ke rañgoñ se tayyār karūñgā naqsh nayā
rah jaao añgusht-ba-dandāñ aisā manzar lā.ūñgā
un kī yaad meñ bahte aañsū ḳhushk agar ho jā.eñge
saat samundar apnī ḳhālī ā.ankhoñ meñ bhar lā.ūñgā
jā pahuñchūñgā taḳht-e-muallā tak apnī fariyād liye
dast-e-ḳhās se likhvā kar ik nayā muqaddar lā.ūñgā