yahāñ mausam bhī badleñ to nazāre ek jaise haiñ
hamāre roz-o-shab saare ke saare ek jaise haiñ
hameñ har aane vaalā zaḳhm-e-tāza de ke jaatā hai
hamāre chāñd sūraj aur sitāre ek jaise haiñ
ḳhudāyā tere dam se apnā ghar ab tak salāmat hai
vagarna dost aur dushman hamāre ek jaise haiñ
kahīñ gar farq niklegā to bas shiddat kā kuchh varna
yahāñ par ġham hamāre aur tumhāre ek jaise haiñ
maiñ kis ummīd pe dāman kisī kā thaam luuñ 'aḳhtar'
ki sab se dostī meñ ab ḳhasāre ek jaise haiñ