vo ek chehra jo us se gurez kar jaatā
to ā.īna usī dam TuuT kar bikhar jaatā
na jaane kaise banī vo zabān patthar kī
vagarna ham pe qayāmat sā kuchh guzar jaatā
uThā hī laayā sabhī rāste vo kāñdhoñ par
yaqīn us pe na kartā to maiñ kidhar jaatā
dhanak ke rañg usī ne khurach liye the magar
jo ham na dekhte is baar bhī magar jaatā
safar kā ant lagā maut kī tarah varna
pukārtī thiiñ mujhe manzileñ Thahar jaatā