lab-e-jāñ-baḳhsh pe dam apnā fanā hotā hai
aaj iisā se ye bīmār judā hotā hai
zulf ko dast-e-hinā.ī se jo chhūtā hai vo shoḳh
to giraftār vahīñ dard-e-hinā hotā hai
thā giraftār-e-shab-o-roz nigahbānī meñ
ham jo ab chhūTeñ haiñ sayyād rihā hotā hai
phir bahār aatī hai ai ḳhār-e-bayābāñ ḳhush ho
aaj kal phir guzar ābla-pā hotā hai
mar ga.e ham to sabā laa.ī javāb-e-nāma
vahī hotā hai jo qismat meñ likhā hotā hai