qatl ushshāq kiyā karte haiñ
but kahāñ ḳhauf-e-ḳhudā karte haiñ
sar mirā tan se judā karte haiñ
dard kī aap davā karte haiñ
ātish-e-ġham ne magar phūñk diyā
dil se shole jo uThā karte haiñ
jāma-e-surḳh tirā dekh ke gul
pairahan apnā qabā karte haiñ
ḳhuun rote haiñ chaman meñ bulbul
ham guloñ se jo hañsā karte haiñ
ḳham-e-abrū-e-sanam ko dekheñ
ham ye kaabe meñ duā karte haiñ
apne saaqī ko shab-e-furqat meñ
paanī pī pī ke duā karte haiñ
roz do-chār kā ḳhuun kartā hai
dast-o-pā surḳh rahā karte haiñ
mar ga.e par hadaf-e-tīr hai ḳhaak
jā-ba-jā tode banā karte haiñ
dahan-e-zaḳhm se ham qātil ke
teġh ko chuum liyā karte haiñ
shor-e-mahshar se Dareñ kyā āshiq
aise hañgāme huā karte haiñ
hote haiñ dil meñ nihāyat nādim
ḳhuun jo be-jurm kiyā karte haiñ
mehñdī malne ke bahāne qātil
kaf-e-afsos malā karte haiñ
evaz-e-bāda ġham-e-sāqī meñ
ḳhūn-e-dil apnā piyā karte haiñ
paañv tak haath na pahuñchā us kī
haath haihāt malā karte haiñ
jo hameñ bhuul gayā hai zālim
us ko ham yaad kiyā karte haiñ
nā-tavānī ne diye par ham ko
jīvan-e-par-e-kāh uḌā karte haiñ
ham bane chāñd ke haale 'goyā' haiñ
gird us mah ke rahā karte haiñ