Goya Faqir Mohammad

kis qadar mujhko na-tawani hai

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
kis qadar mujh ko nā-tavānī hai
bār-e-sar se bhī sargirānī hai
chashm-e-tar se jo ḳhūñ-fishānī hai
nāvak-e-ishq kī nishānī hai
saare qur.ān se us parī-rū ko
yaad ik lafz-e-lan-tarānī hai
jab huā rutba-e-fanā fillāh
ġham nahīñ gar jahān-e-fānī hai
hai har ik sher yaar kī tasvīr
fikr apnī ḳhayāl-e-mānī hai
kyuuñ na hoñ āshiq-e-lab-e-jānāñ
chashma-e-āb-e-zindagānī hai
us kī raftār ke likhe haiñ jo vasf
kyā mirī tab.a meñ aatī hai
nāsehā āshiqī meñ rakh ma.azūr
kyā karūñ aalam javānī hai
kis se duuñ us sanam ko maiñ tashbīh
kab ḳhudā.ī meñ us kā saanī hai
na mirī zaḳhm par rakho marham
mere qātil kī ye nishānī hai
sar kaTā.eñge sham.a saañ ḳhāmosh
gar yahī apnī be-zabānī hai
ham nahīñ sham.a hoñ jo ashk-fishāñ
kār-e-ushshāq jāñ-fishānī hai
muñh ne ghar meñ mire rakkhā us ko
ye bhī tā.īd-e-āsmānī hai
dil bhī us se uThā nahīñ sakte
nā-tavānī sī nā-tavānī hai
qad-e-mauzūñ ke ishq meñ 'goyā'
raat din shuġhl-e-sher-ḳhvānī hai
Top Urdushayar.com