Goya Faqir Mohammad

nazzara-e-ruKH-e-saqi se mujhko masti hai

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
nazzāra-e-ruḳh-e-sāqī se mujh ko mastī hai
ye āftāb parastī bhī mai-parastī hai
ḳhudā ko bhuul gayā mahv-e-ḳhud-parastī hai
tū aur kaam meñ hai maut tujh pe hastī hai
na gul haiñ ab na vo saaqī na mai-parastī hai
chaman meñ meñh ke evaz be-kasī barastī hai
ye mulk-e-husn bhī jānāñ ajiib bastī hai
ki dil sī chiiz yahāñ kauḌiyoñ se sastī hai
mah-e-siyām meñ go man.a-e-mai-parastī hai
magar huuñ mast ki har roz fāqa-mastī hai
ye be-sabāt bahār-e-riyāz-e-hastī hai
kalī jo chaTkī to hastī par apnī hañstī hai
bas ek raat kā mehmān charāġh-e-hastī hai
sirhāne ro.egī ab sham.a gor hañstī hai
dilā ye gor-e-ġharībāñ bhī zor bastī hai
bajā.e abr yahāñ be-kasī barastī hai
gayā jo yaañ se tah-e-ḳhāk vo kabhī na phirā
zamīn ke nīche bhī dilchasp koī bastī hai
nahā ke baal nichoḌe to yaar kahne lagā
ghaTā siyāh isī tarah se barastī hai
bas ek haath meñ do TukḌe kar diyā ham ko
hamāre yaar kī ik ye bhī tez-dastī hai
kiyā hai chaak garebān sub.h-e-mahshar tak
ye apne josh-e-junūñ kī darāz-dastī hai
hameñ to qatl kiyā bas isī nazākat ne
ki vo uThātī haiñ teġh aur nahīñ ukastī hai
dikhā ke phuul se chehre ko dil liyā ḳhush ho
jo badle gul ke mile andalīb sastī hai
ab ek tauba pe aatī hai maġhfirat tire haath
ḳharīd kar ki nihāyat ye jins sastī hai
dikhā.e jis ne ye sūrat hameñ dam-e-āḳhir
usī ko dekhne ko ruuh ab tarastī hai
na TuuTī shīsha-e-mai merī sañg-e-marqad se
pas az fanā bhī mujhe pās-e-mai-parastī hai
asiir kar ke hameñ ḳhush na hoiyo sayyād
ki tū bhī yaañ to giraftār-e-dām-e-hastī hai
ajab nahīñ dam-e-īsā se bhī jo gul ho jaate
ki sham-e-sub.h hamārā charāġh-e-hastī hai
vo māñgtā hai mirī jaan rū-numā.ī meñ
yahī jo mol hai to jins-e-husn sastī hai
kiyā hai us ne to yūsuf kā chaak dāman-e-pāk
na pūchho ishq kī jo kuchh darāz-dastī hai
kahūñ maiñ vahī hai saaqī vahī subū vahī jaam
mudām-e-bāda-e-vahdat kī mujh ko mastī hai
alam hai teġh-e-do-dam taire sar jhukā.e huuñ maiñ
tirī galī meñ bhī zālim bulandī pastī hai
jo chāhe rahmat-e-haq ijz kar shi.ār apnā
ravāñ udhar ko hai paanī jidhar ko pastī hai
safed ho ga.ī mū-e-siyāh ġhaflat chhoḌ
huī hai sub.h koī dam charāġh hastī hai
har ik javān kā qad ḳham huā hai piirī se
ma.āl-e-kār bulandī jahāñ meñ pastī hai
vo apnī jumbish-e-abrū dikhā ke kahtā hai
ye vo hai teġh ishāroñ hī se jo kastī hai
che ḳhush bavad ki bar aayed bek karishma do kaar
sanam baġhal meñ hai dil mahv-e-haq-parastī hai
hai ḳhuub pahle se 'goyā' karūñ maiñ tark-e-suḳhan
ki ek dam meñ ye ḳhāmosh sham-e-hastī hai
Top Urdushayar.com