Goya Faqir Mohammad

nim bismil ki kya ada hai ye

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
niim bismil kī kyā adā hai ye
āshiqo loTne kī jā hai ye
shab-e-vasl-e-sanam vilā hai ye
bose hoñToñ kī le mazā hai ye
dil ko kyuuñ pā.emāl karte ho
na to sabza hī na hinā hai ye
kaaT kar sar lagā.iye Thokar
qatl-e-āshiq kā ḳhūñ-bahā hai ye
dūd-e-dil kyuuñ na rashk-e-sumbul ho
ātish-e-husn se jalā hai ye
zulf meñ kyuuñ na dil rahe bedār
lailatul-qadr se sivā hai ye
āñkheñ us kī siyāh haiñ az-ḳhud
tūtiyā kis kā tūtiyā hai ye
kyā hai nām-e-ḳhudā hai merā sanam
but jise kahte haiñ ḳhudā hai ye
zulf meñ dil mudām rahtā hai
dekhnā kis ke sar chaḌhā hai ye
dar pe nālāñ jo huuñ to kahtā hai
pūchho kyā chiiz bechtā hai ye
chūmtā huuñ maiñ apne dil ke qadam
bosa-e-yār kā gadā hai ye
dafn masjid meñ mere dil ko karo
tāq-e-abrū pe mar gayā hai ye
tāq-e-abrū-e-yār ko dekhūñ
ain ka.abe meñ iltijā hai ye
qad-e-jānāñ nahīñ qayāmat hai
zulf-e-jānāñ nahīñ balā hai ye
go sanam murde zinde kartā hai
kaun kāfir kahe ḳhudā hai ye
ho shahādat nasīb 'goyā' ko
fidvī-e-shāh-e-karbalā hai ye
Top Urdushayar.com