jo pinhāñ thā vahī har sū ayaañ hai
ye kahiye lan tarānī ab kahāñ hai
jo pahuñche haath zanjīroñ ko toḌeñ
garche paañv apnā darmiyāñ hai
chamak lāl-e-ba-daḳhshāñ kī miTā de
tire hoñToñ pe aisā rañg paañ hai
tujhe kahtā huuñ sun o vahshat-e-dil
vahāñ le chal jahāñ vo dil-sitāñ hai
vo hoñ nāzuk-mizāj ai ham-safīro
rag-e-gul mujh ko ḳhār-e-āshiyāñ hai
muā jaatā huuñ maiñ tarz-e-nigah se
tire lab kī masīhā.ī kahāñ hai
bulā kar us se do bāteñ to sun le
ye kahte haiñ ki 'goyā' ḳhush-bayāñ hai