Goya Faqir Mohammad

bhula hai baad-e-marg mujhe dost yan talak

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
bhūlā hai ba.ad-e-marg mujhe dost yaañ talak
sag bhī na us kā aayā mirī ustuḳhāñ talak
go ham qafas se jā na sake bostāñ talak
uḌ uḌ ke rañg-e-chehra gayā par vahāñ talak
bulbul hujūm-e-gul hai chaman meñ yahāñ talak
phūloñ se chhā gayā hai tirā āshiyāñ talak
kab pahuñchī aah zo.af se gosh-e-butāñ talak
sau jā Thahar ke siine se aa.ī zabāñ talak
parvāz pesh aziiñ thī mirī āsmāñ talak
ab to chaman se jā na sakūñ āshiyāñ talak
aisā kiyā za.iif ġham-e-intizār ne
āñkhoñ ko merī baar hai ḳhvāb-e-girāñ talak
aalim huuñ ilm-e-ishq kā maiñ kar na ham-sarī
ai andalīb tū hai paḌī bostāñ talak
us mah ke vasf se ye huā martaba buland
pahuñchī mirī ġhazal kī zamīñ āsmāñ talak
pās-e-adab rahā hai junūñ meñ bhī is qadar
aatā huuñ sajde kartā tire āstāñ talak
us mast ke haiñ gesūoñ ke silsile meñ ham
saaqī murīd jis kā hai pīr-e-muġhāñ talak
rakkheñ adab se paañv na ham terī raah meñ
bāhar jab aap se hoñ to pahuñcheñ vahāñ talak
fasl-e-ḳhizāñ meñ gul kā to aanā muhāl hai
bijlī hī kaash aa.e mirī āshiyāñ talak
kyūñkar na sar phire mirā us teġh ke liye
gardish sī justujū meñ hai marg-e-nishāñ talak
sau baar apnī fikr adam se pare ga.ī
lekin na pahuñchī yaar ke mu-e-bayāñ talak
us huur kā makān hai jannat se bhī pare
rizvāñ pahuñch sake na kabhī pāsbāñ talak
is darja fart-e-zo.af se ham pīchhe rah ga.e
pahuñchī na aah bhī jaras-e-kārvāñ talak
dil meñ hamāre us kī mohabbat ne ghar kiyā
pahuñchā hai is makān se jo lā-makāñ talak
allāh re dimāġh zarā dekh ai humā
aayā na be-talab sag-e-yār ustuḳhāñ talak
us maah ne jo sar mirā Thukrāyā paañv se
pahuñchā dimāġh aaj mirā āsmāñ talak
naḳhl-e-murād-e-yār huā aaj bārvar
sad shukr kaT ke sar mirā pahuñchā sināñ talak
phir jaa.e tiir aa ke vo bargashta baḳht huuñ
ruḳh phere dekh kar mujhe us kī kamāñ talak
marne ke ba.ad hai sag-e-jānāñ kā intizār
kah do humā na aa.e mirī ustuḳhāñ talak
sau baar aa ke maut bhī furqat meñ phir ga.e
bargashtagī nasīb kī kahiye kahāñ talak
'goyā' ye nā-tavānī kā ehsān mujh pe hai
aane diyā na yaar kā shikva zabāñ talak
Top Urdushayar.com