Goya Faqir Mohammad

munh Dhanp ke main jo ro raha hun

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
muñh Dhāñp ke maiñ jo ro rahā huuñ
ik parda-nashīñ kā mubtalā huuñ
kyā hijr meñ nā-tavāñ huā huuñ
tinkā na uThe vo kahrubā huuñ
terī sī na bū kisī meñ paa.ī
saare phūloñ ko sūñghtā huuñ
bulbul hai chaman meñ ek hamdard
maiñ bhī kisī gul kā mubtalā huuñ
ā.īna hai jism-e-sāf us kā
kyūñkar na kahe maiñ ḳhud-numā huuñ
kahtā hai ye mushtarī falak par
yūsuf tire haath meñ bikā huuñ
ruḳhsār vo rakh ke so gayā thā
gul takyoñ ko roz sūñghtā huuñ
ḳhat likh ke jo hai talāsh-e-qāsid
mānind qalam maiñ phir rahā huuñ
mar jaan kahī dekh dekh vo haath
mehñdī kī tarah maiñ pis gayā huuñ
itnī tū jafā.eñ kar na ai but
āḳhir maiñ banda-e-ḳhudā huuñ
ab to mujhe ġhaib-dāñ kaheñ sab
maiñ terī kamar ko dekhtā huuñ
'goyā' huuñ vaqt kā sulemāñ
pariyoñ par hukm kar rahā huuñ
Top Urdushayar.com