us ko mujh se ruThā diyā kis ne
mere dil ko dukhā diyā kis ne
dām-e-kākul dikhā diyā kis ne
murġh-e-dil ko phañsā diyā kis ne
ḳham-e-abru dikhā diyā kis ne
ka.aba-e-dil girā diyā kis ne
ai falak ham to baiThe hañste the
uThte uThte rulā diyā kis ne
aa.ine meñ dikhā ke terī shakl
tujh ko hairāñ banā diyā kis ne
ik qalam harf-e-dostī bhūlā
haa.e us ko paḌhā diyā kis ne
maiñ gayā us ke ghar to kahne lagā
ghar hamārā batā diyā kis ne
nahīñ ma.alūm shauq-e-qatl meñ kuchh
sar hamārā uḌā diyā kis ne
na samā.e kisī kī āñkhoñ meñ
nazroñ se yuuñ girā diyā kis ne
māñgte hī gunāhgār hue
us se bosa liyā diyā kis ne
kal talak dost thā vo 'goyā' kā
aaj dushman banā diyā kis ne