Goya Faqir Mohammad

kya hain shaida-e-qadd-e-yar daraKHt

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
kyā haiñ shaidā-e-qadd-e-yār daraḳht
haiñ jo shabnam se ashk-bār daraḳht
dekheñ gar sarv-qad-e-yār daraḳht
ḳhaak par loTeñ sāya-dār daraḳht
ashk-bār un pe haiñ jo murġh-e-chaman
pahne haiñ motiyoñ kā haar daraḳht
sar-kashī kī hai kyā tire qad se
kaaTe jaate haiñ be-shumār daraḳht
kyā tire qad se duuñ misāl use
ki hai añgusht zīnhār daraḳht
tire jalve se naḳhl-e-tūr bane
haiñ jo bālā-e-kohsār daraḳht
bed-e-majnūñ ko dekh o lailā
hai ye majnūñ kā yādgār daraḳht
dekh kar tujh ko bhuul jā.eñge
gul khilā.enge be-bahār daraḳht
zindagī meñ na maiñ ne phal paayā
ho na mere sar-e-mazār daraḳht
fā.eda bhī yahāñ to nuqsāñ hai
sañg khāte haiñ bār-dār daraḳht
dāġh-e-tan khil rahe haiñ sūrat-e-gul
ham haiñ goyā shagūfa-dār daraḳht
Top Urdushayar.com