Goya Faqir Mohammad

khol di hai zulf kis ne phul se ruKHsar par

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
khol dī hai zulf kis ne phuul se ruḳhsār par
chhā ga.ī kaalī ghaTā sī aan kar gulzār par
kyā hī afshāñ hai jabīn o abru-e-ḳhamdār par
hai charāġhāñ aaj kaabe ke dar o dīvār par
naqsh-e-pā pañch-shāḳha qabar par raushan karo
mar gayā huuñ maiñ tumhārī garmī-e-raftār par
chashm-e-bad duur aaj hai ye kaun gul-rū jhāñktā
chashm-e-nargis kā hai aalam rauzan-e-dīvār par
nā-tavāñ kā bhalā kis muñh se maiñ shikva karūñ
ḳhaal hai yaañ mahr ḳhāmosh lab-e-guftār par
kufr apnā ain dīñ-dārī hai gar samjhe koī
ijtimā-e-sub.ha yaañ mauqūf hai zunnār par
Thokareñ khā.egā ik din sar-kashī itnī na kar
o sar-e-be-maġhz kyuuñ bhūlā hai is dastār par
zulf us kī apne haq meñ dekhiye kahtī hī kyā
hai hamārā faisla ab to zabān-e-mār par
gar chaman meñ ham se be-bargoñ ko jā detī nahīñ
ḳhaar kī mānind biThlā deñ sar-e-dīvār par
hai agar irfāñ kā tālib ḳhāksārī kar shi.ār
dekhte haiñ aa.ine aksar lagā dīvār par
abrū-o-mizhgāñ se us ke dekheñ dil kyūñkar bache
ab to naubat aa ga.ī hai tiir aur talvār par
intihā-e-ishq meñ dī jaan maiñ ne is liye
laala bā-sad daaġh ugtā hai mire kohsār par
rābta gar ġhair se ho yaar ko chāhūñ maiñ
maiñ na bulbul huuñ ki martā huuñ gul-e-be-e-ḳhār par
dil jalā aisā huuñ merā naam le baiThā jo vo
paḌ ga.e chhāle zabān-e-murġh-e-ātish-e-ḳhvār par
uTh ke but-ḳhāne se masjid ko agar jā.egā tū
saikḌoñ TūTeñgī tasbīheñ tire zunnār par
haif kū-e-yār tak pahuñchī na merī ustuḳhāñ
muddatoñ aa kar humā baiThā rahā dīvār par
suukh jaa.eñ gar hamārī ābloñ kī chhāgaleñ
paas se kāñTe nazar aa.eñ zabān-e-ḳhār par
ba.ad murdan bhī hai baaqī merī nāloñ kā asar
tār-e-mutrib kā hai aalam har kafan kī taar par
terī āb-e-teġh se zālim jo ho tūfān bapā
maut taḌpī misl-e-māhī gumbad-e-davvār par
ḳhat use itne likhe maiñ ne ki vaañ bhar javāb
baiThe rahte haiñ kabūtar saikḌoñ dīvār par
hashr tak mumkin nahīñ ab chamkī teġh-e-āftāb
baaḌā rakhvātā hai zālim maġhribī talvār par
kafsh-e-pā kī gul dikhā kar hañs ke yuuñ kahne lagā
sair ko kyuuñ jā.ūñ gulshan hai mire bezār par
dekhiyo zid mere murġh-e-nāma-bar ke vāste
qaiñchiyāñ lagvā.īñ haiñ be-rahm ne dīvār par
yaar ko ma.alūm hotā hai hijr meñ soyā nahīñ
ḳhat likhūñ goyā bayāz-e-dīda-e-bedār par
Top Urdushayar.com