Goya Faqir Mohammad

kis naz se wah hum ko mara

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
kis naaz se vaah ham ko maarā
kī tirchhī nigāh ham ko maarā
sau pech meñ lā ke āḳhir-e-kār
ai zulf-e-siyāh ham ko maarā
ḳhvāhiñda tire the ai parī ham
kyuuñ ḳhvāh-na-ḳhvāh ham ko maarā
ka.abe ko jo ham chale butoñ ne
kah kar gumrāh ham ko maarā
shikva hameñ kuchh nahīñ falak se
tū ne ai maah ham ko maarā
chāh-e-zaqan-e-sanam dikhā kar
tū ne ai chaah ham ko maarā
aise haiñ za.iif mar ga.e ham
jis ne par-e-kāh ham ko maarā
us kī zulf-e-darāz ne shab
qissa-e-kotāh ham ko maarā
shamshīr-e-nigah se us ne be-maut
ḳhāliq hai gavāh ham ko maarā
bose kī talab meñ us ne 'goyā'
nā-karda-gunāh ham ko maarā
Top Urdushayar.com