Goya Faqir Mohammad

apna har uzw chashm-e-bina hai

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
apnā har uzv chashm-e-bīnā hai
is qadar intizār terā hai
jo hai mahbūb terā shaidā hai
yūsuf aage tirī zuleḳhā hai
ek mah-rū baġhal meñ sotā hai
āsmāñ par dimāġh apnā hai
ḳhaak meñ jo milā diyā mujh ko
āsmāñ ne zamīñ ko sauñpā hai
kis ne chehre se baal sarkā.e
shaam ko sub.h āshkārā hai
ustuḳhvāñ tak kabhī guzar na kiyā
mere haq meñ humā bhī anqā hai
tere qadmoñ pe kyuuñ na qais gire
naqsh-e-pā rashk-e-rū-e-lailā hai
in dinoñ ai masīh-e-dam tujh par
dam nikaltā hai dam nikaltā hai
taulūñ us sīm-tan ko nazroñ meñ
ye mirā jism-e-zār kāñTā hai
husn-e-ḳhūbāñ hilāl-o-badr kī tarah
kabhī kam hai kabhī ziyāda hai
us bayābāñ meñ le ga.ī vahshat
māh-e-nau jis kā ek kāñTā hai
dil meñ rahtā hai us kamar kā ḳhayāl
kyā ye anqā kā āshiyānā hai
aao āñkhoñ meñ ek dam Thahro
putliyoñ kā yahāñ tamāshā hai
kaf-e-pā bhī na ham ko dikhlā.e
barhaman haath dekh jaatā hai
yaar nām-e-ḳhudā hai kashtī meñ
nāḳhudā aaj paar beḌā hai
terā naqsh-e-qadam zamīñ pe nahīñ
āsmāñ par koī sitārā hai
ham se tum dushmanī lage karne
dostī ab nasīb-e-a.adā hai
kah rahe haiñ shab-e-firāq meñ ham
aaj kis ko umīd-e-fardā hai
ḳhaar chubh kar jo TūTtā hai kabhī
aabla phuuT phuuT rotā hai
āñkheñ nargis haiñ ruḳh hai gul qad sarv
tū to ai gul chaman sarāpā hai
kaam poshāk se nahīñ ham ko
aib-poshī hamārā sheva hai
de sulaimāñ kī us parī ko qasam
is tarah shīshe meñ utārā hai
zulf ne naqd-e-dil kiye haiñ jam.a
ab to ye saañp koḌyālā hai
pahuñche haiñ gor ke kināre ham
ham se ab tak tumheñ kinārā hai
jurm 'goyā' ke baḳhshvā denā
yā-mohammad faqīr terā hai
Top Urdushayar.com