Goya Faqir Mohammad

hasrat ai jaan shab-e-judai hai

Goya Faqir Mohammad

Malihabad, Uttar pradesh, India

1784-1850
hasrat ai jaañ shab-e-judā.ī hai
muzhda ai dil ki maut aa.ī hai
tujh se maġhrūr kī jhukī gardan
phir bhī ik shān-e-kibriyā.ī hai
us ne talvār ko sambhālā hai
dekhiye kis kī maut aa.ī hai
phir gayā jab se vo sanam ba-ḳhudā
ham se bargashta ik ḳhudā.ī hai
baat sīdhī bhī vo nahīñ kartā
kaj-adā.ī se kaj-adā.ī hai
aap ko jāntā hai ā.īna
saaf ye us kī ḳhud-numā.ī hai
tum mire kaj-kulāh ko dekho
ye bhalā kis meñ mīrzā.ī hai
dil meñ aatā hai rāh-e-chashm se vo
ḳhuub ye rāh-e-āshnā.ī hai
male hasrat se haath dekh ke huur
ai parī terī vo kalā.ī hai
shāna us kā hai panja-e-ḳhurshīd
vaah kyā panja-e-hinā.ī hai
zāhido qudrat-e-ḳhudā dekho
but ko bhī dāva-e-ḳhudā.ī hai
haath pahuñchā na pā-e-qātil tak
tāle.oñ kī ye nā-rasā.ī hai
kaabe jaane se man.a karte haiñ
kyā butoñ ke hī ghar ḳhudā.ī hai
husn ne mulk-e-dil kiyā tārāj
hazrat-e-ishq kī duhā.ī hai
muñh hai 'goyā' kā us kā bosa le
baat dushman ne ye banā.ī hai
Top Urdushayar.com