us ko ġhaflat-pesha kah aate haiñ ham
bhuul jaanā yaad dilvāte haiñ ham
zo.af se rahtā hai ab paañv pe sar
aap apnī Thokareñ khāte haiñ ham
dil nahīñ us but kī ulfat chhoḌtā
nā-samajh ko laakh samjhāte haiñ ham
hai janāza is liye bhārī mirā
hasrateñ dil kī liye jaate haiñ ham
bār-e-isyāñ sar pe hai goyā bahut
kyā uThā.eñ sar jhuke jaate haiñ ham